Monday, March 4, 2013

Main Kavi Hun....


Main kavi hun
Main kalpana karta hun
Main kavita likhta hun
Mere kalpana ki duniya bahut badi hai
Ismey kuch apne hai, kuch paraye bhi hai
Kuch meri yaaden hai,kuch logo ki yaaden hai
Main kavi hun.......

Main badal ki tarah awara to nahi, lekin mujhmey thahraaw bhi nahi
Main bhaagti duniya k sath bhaagta hun
Kuch apno ko to kuch sapno ko bachata hun
Thaki insaan k chehre m apne kavita ko dundta hun
Haste bacho ki aakhon mey alfaaz dundta hun
Kabhi masjid to kabhi mandeer m dar dar kar jata hun
Khud ko paane ki khoshish karta hun
Main kavi hun....

Khood k kavita se rooth jata hun
Khood ki alfaazon ko manata hun
Ise sisakti duniya m apne aap ko bheed m pata hun
Kabhi thand m thutharte insaan hun kabhi garmi m tapti raasta hun
Main kavi hun sabko raasta dikhata hun...

Main aaj ka kavi hun
Kavita bech kar paisa kamata hun
Matlabi duniya m apno ko dundta hun
Sunsaan sahar m madat ko chilata hun
Loot rahi ijjat m aadmiyata dundta hun
Main kavi hun khoyi insaaniyat ko jagata hun ....