Thursday, October 23, 2014

Main Aur Meri Duniyaa...

Tum Hakikat ho ya Koi fasana..
Tum sapna ho ya fir neend ki rooh..
Tum ho kaun???

Mere jaagte duniya ki farista mat bano
Main Hakikat mey ek kabr hun
Ya fir Jindaa rooh!!!

Mere kuch "sapne" hai jo Bikhre hai
Tum usey samatne ki khosis na karo
Rahne do unhey unki haal pe
Mujhe "neend" se na jagao

Main ab nadi ka dhara hun
Rookna nahi jaanta hun
Mat bano sawari tum ise dhaara ki
Duniyaa ujad jaayegi tera.

Ab sapno se waasta nahi rahta
Main ab jeena jaanta hun
Tum farista mat bano
Main Muskurana nahi jaanta!!!

Dur raho ise bhatakti rooh se
Yahaan kuch nahi hai
Loot jaayega Tere sapno ka mandeer
Ab bache hai kuch aashu yahaan ise mat loot.

Friday, October 10, 2014

Sapne...

Kitne sapne hai...
Har sapne rote hai..
Main Choop bhi nahi kara sakta...
Inhey ro lene do...

Yakeenan ek din jab ye sapne sadd jaayenge!!
Jab ye badboo failaayenge!!!
Log in sapno ko dafnaa aayenge!!

Ye sapne mujhe kyun ghoor rahe hai?
Insey mera Koi waasta nahi hai;
Han,main jaanta tha kabhi in sapno ko,
Ab koi waasta nahi Insey mera.

Ab main ek kabr ki daastan hun,
Sapno se mera waasta nahi hai....
In sapno ko dafnaa hi do
Ye ab mere kahani ka hissa nahi.