Wednesday, December 14, 2011

Aaj fir se teri yaad aa gayi


Aaj fir se teri yaad aa gayi,

 Wo diye jo tumne jalaya tha ab bhi jal rahe hai
Bas tum kahi gum ho gayi.

 Sochta hun kabhi tere paas aa jau,
Magar jimewaari ne jakad rakha hai.
  
Raaho mey roshni aaj bhi hai,
Hamsafar koi nahi raha.

 Ab nahi hai koi apna jiskey kandho par sar rakh kar ro saku
Aksar silwato ko aashuon se gila kar jata hun.

 Jab bhi sitaro ko dekhta hun,
Teri tasweer yaad aati hai.

 Jaane kahaan kho gayi ho tum 
Ab sapno mey bhi nahi aati hai.

 Ab khud ko ainaa mey dekh kar muskurata hun 
Hasne ki koi wajah na rah gayi.

Jaane khaan kho gayi tum in sitaro mey,
Ab to najar bhi nahi aati hai.

 Aa jao DIYA ab waapis tum,
Ab ye diya ki roshni bhi chubhne lagi hai.

No comments:

Post a Comment